Skip to main content

Posts

Showing posts with the label behzad

Duniya bhula chukaa hoon tumhare khayaal mein - Hazrat Behzad Lakhnawi

Ab hai khushi khusi mein na gham hai malaal mein Duniya se kho gaya hoon tumhaare khayaal mein Mujh ko na apna hosh na suniya ka hosh hai Nast ho ke baitha hoon tumhare khayaal mein Taron se pooch lo meri rudaad-e-zindagi Raton ko jaagta hoon tumhaare khayaal mein Duniya ko ilm kya hai jamaane ko kya khabar Duniya bhula chukaa hoon tumhare khayaal mein Duniya khadi hai muntazir-e-nagma-e-alam �Behzad� chup khade hain kisi ke khayal mein ~ Hazrat Behzad Lakhnawi

Un aankhon ka aalam, ghulabi ghulabi - Hazrat Behzad Lakhnavi

Un aankhon ka aalam, ghulabi ghulabi Merey dil ka aalam, sharabi sharabi   Nigahon ne dekhi, muhabbat ne maani Teri bemisali, teri lajawaabi   Ye duz-deeda nazarein, ye raftaar-e-naazuk Inheen ke badaulat hui hai kharabi Khuda ke liye apni nazron ko roko Tamanna bani ja rahi hai jawabi Hai �Behzad� unki nigah-e-karam par Meri na-muradi meri kaamayabi   ~ Hazrat �Behzad� Lucknawi Niyazi R.A.