Skip to main content

Posts

Showing posts with the label Meer Dard

Apna to nahin yaar main kuchh, yaar hoon tera - Khwaja Mir 'Dard'

Apna to nahin yaar main kuchh, yaar hoon tera Tu jis ki taraf howey, tarafdaar hoon tera Kurhne pe mere jee na kurha, teri balaa se Apna to nahin gham mujhe, ghamkhwaar hoon tera Tu chaahe na chaahe mujhe kuchh kaam nahin hai Azaad hoon is se bhi, giraftaar hoon tera Tu howey jahaan, mujh ko bhi hona waheen laazim Tu gul hai meri jaan to, main khaar hoon tera Hai ishq se mere hi tere husn ka shahra Main kuchh nahin par, garmi-e-bazaar hoon tera Meri bhi taraf tu kabhi aa jaa mere Yusuf Burhiya ki tarah main bhi khareedar hoon tera Aye �Dard� mujhe kuchh naheen ab aur to azaar Us chasm se kah dena ki bimaar hoon tera ~ Hazrat Khwaja Mir �Dard�

Jee me ye kiska tasawwur aa gaya - Hazrat Khwaja Meer 'Dard'

Wahi ru-ba-ru hai -Hazrat Khwaja Meer ' Dard'

Mera jee hai jab tak, teri justaju hai, Zabaan jab talak hai, yahi aarzoo hai. Tamanna teri hai, agar hai tamanna, Teri aarzoo hai, agar aarzoo hai. Kiya sair sab hum gulzaar-e-duniya, Gul-e-dosti main ajab rang-o-boo hai. Nazar mere dil ki padi �dard�, kis par, Jidhar dekhta hoon, wahi ru-ba-ru hai. - Hazrat Khwaja Meer �Dard�