Qaid-e-gham-e-hayaat se humko chhudaa liyaa, Achchha kiya ke aap ne apna banaa liyaa ! Hone diya na hum ne andheraa shab-e-firaaq, Bujhne laga chiraag to dil ko jalaa liyaa ! Duniyaa ke paas hai koi is tanz ka jawaab , Diwaana apne haal pe khud muskuraa liyaa ! Chup hoon tumhaara dard-e-muhabbat liye huye, Sab poochte hai tum ne zamaane se kyaa liyaa ! Kyaa baat thi ke khalvat-e-zahid ko dekh kar, Rind-e-gunaahgaar ne sar ko jhukaa diyaa ! Na qaabil-e-bayaan hai muhabbat ki lazzaten, Kuchh dil hi jaanta hai jo dil ne mazaa liyaa ! Roz-e-azal padi thi hazaaron hi neymatein, Hum ne kisi ka dard-e-mohabbat utaa liyaa ! Badhne lagi ji talki-e-gham-e-haa-e-zindagi, Thoda sa baada-e-gham-e-janaan milaa liyaa ! Waqif nahin giraft-e-tasawwur se wo �Shamim�, Jo ye samajh rahe hain ke daaman chhudaa liya ! ~ �Shamim� Karhani
Poetry SMS – Emotions need word to be expressed, and words are provided in the form of poetry. ... Poetry SMS in Roman Urdu is widely popular in Pakistan that makes it pretty easy for Urdu language speakers to understand. ... Find 2016 largest collection of Poetry SMS nice poetry | new poetry | sad poetry | love poetry