Skip to main content

Tanhai k aik samandar main dil mera basta hai...

Tanhai k aik samandar main dil mera basta hai,
Safar ki uljhan kaisi, jab tere ghar ka rasta hai,

Perdai k peeche jis dil ki siskiyan sunai deti hain,
Mehfil main wohi dil muskurata hai, hasta hai,

Yeh maana k dil mera aap ki humdardi k qabil nahi,
Mager qabol ker lejyeh, maal yeh paidar aur sasta hai,

Maut ki rasomaat tou riwayat main mili theen hum ko,
Dastoor-e-ishq main mager aashiq khud kafan kasta hai,

Berukhi main unki, lehaaz kis tarhan ka?
Najaaane kyu mager aik umeed si wabasta hai,

In the sea of solitude, my heart does exist,
What pain of traveling, when the road is to your abode,

Behind the curtain, the heart whose sighs can be heard,
In company that very heart smiles and laugh as well, 

We agree that our heart is not worthy of your affection,
But accept it for the good is durable and available for cheap,

The rituals of death, we were given in tradition,
Yet in the way of love, the dead tie their own burial shroud,

In their aloofness, there is no relenting,
Unknown to me is why we still have hope,

- Hassan Bin Fahim

Comments

Popular posts from this blog

Sazaa-e-husn-e-paraasti - Firaq Gorakhpuri

 Sazaa-e-husn-e-paraasti bajaa, bajaa bhi nahin Ki jurm-e-ishq butaan hai buraa, buraa bhi nahin Kisi ko kya na milaa zindagi mein waa-e-naseeb Humaare haath bas ik dil rahaa, rahaa bhi nahin Udhar qadam bhi uthaanye de bad-dimaagi-e-ishq Hum aison par dar-e-Jannat khulaa, khulaa bhi nahin Nazar farebi-e-tahreer le udi mujhko Sirey se naama-e-jaanan padha, padha bhi nahin Tamaam shokhi-e-raftaar teri raahguzar Qadam ka naksh kuchh aisa utha, utha bhi nahin Wo jaise hai hi nahin is adaa se saamne hai Agar kahoon ki mujhse khafa, khafa bhi nahin Hum usko dekh ke bhi aah kis tarah dekhein Nazaara-e-rukh-e-jaanan hua, hua bhi nahin Nigaah-e-naaz se sun ke dil udaas hua Agar kahein ke kuchh usne kahaa, kahaa bhi nahin Jamaan-maqaan ka ye parda hijaab-e-aqbar hai Hazaar baar ye parda utha, utha bhi nahin Bas ik nigaah ki parchhiyaan baqaa-o-fanaa Baqaa, Baqaa bhi nahin hai, fanaa, fanaa bhi nahin Jisye muaamla-e-husn-o-ishq kahte hain Hazaar baar ye jhagda chukaa, chukaa bhi nahin Wo aan...

(Bang-e-Dra-126) Traduction Fran�aise: Pri�re

Dua Prayer Pri�re Ya Rab! Dil-e-Muslim Ko Woh Zinda Tamana De Jo Qalb Ko Garma De, Jo Rooh Ko Tarpa De Lord, fill the Muslim�s heart with a desire so fervent That it will set his heart aflame and stir his soul. � Allah ! Habilite le c�ur des Musulmans de ce d�sir ardent qui emballe le c�ur et qui violente l'�me. Phir Wadi-e-Faran Ke Har Zarre Ko Chamka De Phir Shauq-e-Tamasha De, Phir Zauq-e-Taqaza Light up again every speck of dust in the Valley of Faran. Make us long again for beautiful sights, and create in us the urge to make demands. Ensuite fait briller chaque particule de La vall�e de Faran.  Puis donne nous la curiosit� voir et exhorte nous � te solliciter. Mehroom-e-Tamasha Ko Phir Dida-e-Beena De Dekha Hai Jo Kuch Mein Ne Auron Ko Bhi Dikhla De Give piercing vision to those deprived of sight, and show to others what I have seen. A ceux qui ne peuvent pas voir, donne leur la capacit� de voir(comprendre) Que ce que j'ai vu d'autres puissent le voir aussi.  Bhatke Hu...

Lagta Hai