Skip to main content

Posts

Showing posts from April, 2012

Apna to nahin yaar main kuchh, yaar hoon tera - Khwaja Mir 'Dard'

Apna to nahin yaar main kuchh, yaar hoon tera Tu jis ki taraf howey, tarafdaar hoon tera Kurhne pe mere jee na kurha, teri balaa se Apna to nahin gham mujhe, ghamkhwaar hoon tera Tu chaahe na chaahe mujhe kuchh kaam nahin hai Azaad hoon is se bhi, giraftaar hoon tera Tu howey jahaan, mujh ko bhi hona waheen laazim Tu gul hai meri jaan to, main khaar hoon tera Hai ishq se mere hi tere husn ka shahra Main kuchh nahin par, garmi-e-bazaar hoon tera Meri bhi taraf tu kabhi aa jaa mere Yusuf Burhiya ki tarah main bhi khareedar hoon tera Aye �Dard� mujhe kuchh naheen ab aur to azaar Us chasm se kah dena ki bimaar hoon tera ~ Hazrat Khwaja Mir �Dard�

Main khud ko dhoondhta hoon - Hazrat Syed Ghaosi Shah R.A.

Main khud ko dhoondhta hoon, Wo haath aa rahe hain Ab meri shaql se wo, jalwe dikha rahe hain Main wo nahin hoon hargiz, wo main nahin hain lekin Wo mujh ko munh kar ke, khud ko bataa rahey hain Main unka aaina hoon, wo mera aaina hain Main unhein dikhaa rahaa hoon, wo mujhe dikhaa rahey hain Main, main nahin rahaa ab, ab wo hi main baney hain Har aan ab wo mujh mein, main ban ke aa rahey hain Aye waa-e-Hazrat-e-ishq achchhe hain ye karishmein Arey jitna mujhe bigaada, utna banaa rahey hain Mai mein kahaan thi masti, itni ke mujh ko khoti In aakhon ke main sadqe, bekhud banaa rahey hain Taalib se lan-taraani aakhir chali na unki Kah kar wal-aakhir-unzur parde utha rahey hain Main kya bataaun �Ghausi� main kaisa mit gayaa hoon Khud ko tatolta hoon, wo haath aa rahey hain ~ Az Hazrat Syed Ghousi Shah R.A.,Hyderabad

Faslay To Qurab Ki Pehchan Hua kartay hain

Hamen TumSe Mohabbat Hay Hamara Dosh hay Maana

Hamen Mudat Hoi Bichre Tumhen Arsaa Hua Bhoolay - Designed Poetry