Sazaa-e-husn-e-paraasti bajaa, bajaa bhi nahin Ki jurm-e-ishq butaan hai buraa, buraa bhi nahin Kisi ko kya na milaa zindagi mein waa-e-naseeb Humaare haath bas ik dil rahaa, rahaa bhi nahin Udhar qadam bhi uthaanye de bad-dimaagi-e-ishq Hum aison par dar-e-Jannat khulaa, khulaa bhi nahin Nazar farebi-e-tahreer le udi mujhko Sirey se naama-e-jaanan padha, padha bhi nahin Tamaam shokhi-e-raftaar teri raahguzar Qadam ka naksh kuchh aisa utha, utha bhi nahin Wo jaise hai hi nahin is adaa se saamne hai Agar kahoon ki mujhse khafa, khafa bhi nahin Hum usko dekh ke bhi aah kis tarah dekhein Nazaara-e-rukh-e-jaanan hua, hua bhi nahin Nigaah-e-naaz se sun ke dil udaas hua Agar kahein ke kuchh usne kahaa, kahaa bhi nahin Jamaan-maqaan ka ye parda hijaab-e-aqbar hai Hazaar baar ye parda utha, utha bhi nahin Bas ik nigaah ki parchhiyaan baqaa-o-fanaa Baqaa, Baqaa bhi nahin hai, fanaa, fanaa bhi nahin Jisye muaamla-e-husn-o-ishq kahte hain Hazaar baar ye jhagda chukaa, chukaa bhi nahin Wo aan...