Skip to main content

Haram aur dair ke katbey wo dekhey - �Seemab� Akbarabadi







Haram aur dair ke katbey wo dekhey jis ko fursat hai,
Yahaan hadd-e-nazar tak sirf unwaan-e-muhabbat hai;

 Parastaar-e-muhabbat ki muhabbat hi shariyat hai,
Kisi ko yaad kar ke aah kar lenaa ibaadat hai;

Ho ek kiradaar tum bhi merey mamool-e-muhabbat ka,
Mujhe tumse nahin apni muhabbat se muhabbat hai;

Wo kya sajda ? rahe ehsaas jismein sar uthaane ka,
Ibaadat aur ba-qaid-e-hosh tauheen-e-ibaadat hai;

 Meri dewaangi pe hosh waale bahas farmaaein,
Magar pahle unhein deewana ban�ne ki zaroorat hai;

 Maqaam-e-ishq ko har aadmi �seemab� kya samjhe,
Ye hai ek martabaa, jo maawara-e-aadmiyat hai..!!!


~ Hazrat �Seemab� Akbarabadi Sahab




Comments

Popular posts from this blog

Hindi funny sms messages

Wo bewafa hy to mat bura kaho usay . Wah wah wah . Wo bewafa hy to mat bura kaho usay . . . . . Kisi aur say pyaar karlo dafa kro usay \(",) |> / \ miti paao jiii! - - - -> Insaan ko Bemaar kar Daine waali Cheezo mein sy aik cheez "APN0 KI JUDAAI HaY" . . . So Please Roz Aik 2 message kar dia kro" (' , ')> /) ( / /Kal V halka Jiya Bukhaar hogya c. - - - -> Girl: Which Laptop do you have..? ? ? ? Boy : I have a HP G-62 with Intel core i3 processor 3.o Ghz, Windows 7, 32 bit.. 1 Gb RAM & Intel 1 Gb graphics Card.. & Which laptop do you have..? ? ? Girl: Pink colour ka.. :P hahahahahahahahaha - - - -> Kese Mumkin Tha Kisi aur Dawa Sy Ilaaaj-e-Ishq �? . "Ae Galib"! . Ishq Ka Rog Tha . . . .. MAAN ki Chappal sy hi Aaraam Aay...

TUM (Urdu Poetry)

TUM (Urdu Poetry) ...