Skip to main content

Ya mujhe afsar-e-shahaana banaaya hota - Hazrat Bahadur Shah �Zafar�





Ya mujhe afsar-e-shahaana banaaya hota
Ya mera taaj gadayana banaaya hota

Apna deewana banaya mujhe hota tu ne
Kyun khirad mand banaaya, na banaaya hota

Khaksaari ke liye gar che banaaya tha mujhe
Kaash !!! sang-e-dar-e-janaana banaay hota

Nash�aa-e-ishq ka gar zarf diya tha mujh ko
Umr ka tang na paimaana banaaya hota

Dil-e-sad chaak banaaya, to balaa se, lekin
Zulf-e-mushkeen ka teri shaana banaaya hota

Soofiyon ke jo na tha laayaq-e-sohbat to mujhe
Qaabil-e-jalsa-e-rindaana banaay hota

Tha jalaana hi agar doori-e-saaqi se mujhe
To charaagh-e-dar-e-janaana banaaya hota

Roz maamoora-e-duniyaa mein kharaabi hai �Zafar�
Aisi basti se to weerana banaaya hota

~ Hazrat Bahadur Shah �Zafar�


Comments

Popular posts from this blog

Hindi funny sms messages

Wo bewafa hy to mat bura kaho usay . Wah wah wah . Wo bewafa hy to mat bura kaho usay . . . . . Kisi aur say pyaar karlo dafa kro usay \(",) |> / \ miti paao jiii! - - - -> Insaan ko Bemaar kar Daine waali Cheezo mein sy aik cheez "APN0 KI JUDAAI HaY" . . . So Please Roz Aik 2 message kar dia kro" (' , ')> /) ( / /Kal V halka Jiya Bukhaar hogya c. - - - -> Girl: Which Laptop do you have..? ? ? ? Boy : I have a HP G-62 with Intel core i3 processor 3.o Ghz, Windows 7, 32 bit.. 1 Gb RAM & Intel 1 Gb graphics Card.. & Which laptop do you have..? ? ? Girl: Pink colour ka.. :P hahahahahahahahaha - - - -> Kese Mumkin Tha Kisi aur Dawa Sy Ilaaaj-e-Ishq �? . "Ae Galib"! . Ishq Ka Rog Tha . . . .. MAAN ki Chappal sy hi Aaraam Aay...

TUM (Urdu Poetry)

TUM (Urdu Poetry) ...