Nazar milaa na sake us se us nigaah ke baad
Wahi hai haal humaara jo ho gunaah ke baad
Wahi hai haal humaara jo ho gunaah ke baad
Main kaise aur kisi simt modta khud ko
Kisi ki chaah na thi dil mein teri chaah ke baad
Zameer kaanp to jataa hai aap kuchh bhi kahein
Wo ho gunaah se pahale ke ho gunaah ke baad
kati hui theen tanaabein tamaam rishton ki
Chhupaata sar main kahaan tujhse rasm-o-raah ke baad
Gawaah chaah rahe the wo begunaahi ka
Zubaan se kah na saka kuchh "Khuda-gawaah" ke baad
Khutoot kar diye waapas, magar meri neendein
Inhein bhi chhor do ik raham ki nigaah ke baad
~ Krishan Bihari Noor Sahab
Comments
Post a Comment