Skip to main content

NEHA KE NYARE NYARE SMS - 441-442-443-444-445-446-447-448-449-450

NEHA KE NYARE NYARE SMS - 441

*****************************

Darte hai aag se kahi jal na jaaye,

Darte hai khwaab se kahi toot na jaaye,

Lekin sabse jyada darte hai aapse,

Kahi hamse rooth na jaaye.

*****************************

Wo gam hi kya jisame rum na ho,

Wo rum hi kya jisame dam na ho,

Wo dam hi kya jisme ham na ho,

Wo ham hi kya jisme tumhaara sang na ho.

*****************************

Sooraj se roshan hai saara jaha,

Hame ek diye ki talaash hai,

Apne paas logo ki kami nahi par

Door apna bhi koi khaas hai.

*****************************

Mit gaye hai sab jakhm bas nishaan baaki reh gaya,

Saja poori ho gaye karna guna baaki reh gaya.

*****************************

Khushaboo ki tarah aapke paas bikhar jaayenge,

Sukoon bankar dil me utar jaayenge,

Mehsoos karne ki koshish kijiye,

Door hote huye bhi paas najar aayenge.

*****************************

NEHA KE NYARE NYARE SMS - 442

*****************************

Dost ko bhoolna galat baat hai,

Unhi ka jindagee bhaar ka saath hai,

Agar bhool gaye to khaali haath hai,

Aur agar saath hai to jamana kahega kya baat hai.

*****************************

Chaand taaro ka noor aap par barse,

Har koi aapki chaahat ko tarse,

Aapki jindagee me aaye itani khushiya,

Ki aap ek gam paane ko tarse.

*****************************

Chandani chand sitaaro se tujhe kya lena,

Tumhaare siwa bahaaro se kya lena,

Bas tumhaari soorat basi rahe aankhon me,

Jannat ke najaaro se mujhe kya lena.

*****************************

Dooriyaa bahut hai par,

Itna samajh lo paas rahkar bhi,

Koi rishta khaas nahi hota,

Tum dil ke paas itne ho ki,

Dooriyo ka ehasaas nahi hota.

*****************************

Tumhe bhool jaau ye mumakin nahi hai,

Kahi bhi rahu mere dil to yahi hai,

Gujarne ko to ye din gujarte rahenge,

Tumhe chaahte hai ham or chaahte rahenge.

*****************************

NEHA KE NYARE NYARE SMS - 443

*****************************

SMS to ek bahana hai,

Irada kuch aapke lamhe churana hai,

Aap hamse chaahe baat kare na kare phir bhi

Yaado me to aapka aana jana hai.

*****************************

Chaand utra tha hamaare aangan me,

Ye sitaaro ko ganwara na hua,

Ham bhi sitaaro se kaise gila kare,

Jab chaand hi hamara na hua.

*****************************

Jaam par jaam peene se kya fayda,

Raat gujri to saari utar jaayengi,

Kisi ki aankhon se peeyo khuda ki kasam,

Umar saari nashe me gujar jaayegi.

*****************************

Choti-Choti baato pe takra na karo,

Hamaare har majaak ko dil pe mat liya karo,

Kya pata saath hai aur kitane din ka,

In palo ko to pyaar se jiya karo.

*****************************

Chehre par banaawat ka gussa,

Aankhon se chalakta pyaar bhi hai...

Is ishq-e-ada ko kya kahiye inkaar bhi hai...

Ikaraar bhi hai...

*****************************

NEHA KE NYARE NYARE SMS - 444

*****************************

Chupa lo mujhko tum is tarah se ki,

Jaise mandir main laau diye ki,

Bagiya me khushabu phool ki,

Aur dil main yaad tumhaare jaise yaaro ki.

*****************************

Chaand se log the,

Phoolo ki tarha haste the...

Dard-e-dil me,

Magar lab pe hasi rakhte the.

*****************************

Dil to hai ek raahi jana jiski tum manjil ho,

Dil to hai ek kashti jana jiska tum saahil ho,

Dil na phir kuch maange jana

Tum agar haasil ho.

*****************************

Wafa ke naam se ghabraate hai,

Jidhar dekho gam hi gam najar aate hai,

Dil ka dard aansu ban kar na nikle,

Isaliye ham har waqt muskurate hai.

*****************************

Kismat se likhe koi baat ho tum,

Takdeer se mile saugaat ho tum,

Tumse milakar mehasoos hua ki

Barsu se mere saath ho tum.

*****************************

NEHA KE NYARE NYARE SMS - 445

*****************************

Gaal gulaabi dekh tumhaare,

Bhawaare dhokha khaate hai,

Khilata hua phool samajh kar,

Ras peene mandraate hai.

*****************************

Na kisi ka dil mujhe chaahiye,

Na kisiki ghar ki talaash hai,

Mere dil ka haal jo samajh sake,

Mujhe us najar ki talaash hai.

*****************************

Dosto ki judaai ka gam na karna,

Door raho to bhi dosti kam na karna,

Agar mile jindagee ke kisi mod par ham,

To hame dekh kar apni aankhen band na karna.

*****************************

Dosti gunaah hai to hone na dena,

Dosti khuda hai to khone na dena,

Karte ho dosti jab kisi se to kabhi,

Us dost ko rone na dena...

*****************************

Dosti hoti hai jindagee bitaane ke liye,

Ham apni hasti mita de ise nibhaane ke liye,

Milane ki to fursat nahi,

To SMS kiya apni yaad dilaane ke liye?

*****************************

NEHA KE NYARE NYARE SMS - 446

*****************************

Phoolo se hasna, jhoolo me jhoolna,

Koi doosra dost mile to hame na bhoolana,

Dost ek afasana hai,

Bhool gaye to sapna hai yaad kiya to apna hai.

*****************************

College ki galiyo me ajeeb khel hota hai,

class ke bahaane dilo se mail hota hai,

Notes ki jagah love mail hota hai,

Isaliye to pappu har saal fail hota hai.

*****************************

Sapne toot jaate hai, apne rooth jaate hai,

Jindagee me aksar aise mod aate hai,

Magar jab saath ho tum jaise dosto ka to,

Raaho ke kaante bhi phool ban jaate hai.

*****************************

Khushi ke liye gam kurbaan,

Hasi ke liye aansu kurbaan,

Pyaar ke liye dil kurbaan aur

Ae dost tere liye to jaan kurbaan.

*****************************

Dil jalakar mera muskuraate hai wo,

Apni aadat se kab baaz aate hai wo,

Pooch lete hai har raaz mujhse mera,

Apni har baat mujhse chupaate hai wo.

*****************************

NEHA KE NYARE NYARE SMS - 447

*****************************

Wo gori hai, uski julfe hai kaali,

Wo pari hai ya pariyo ki raani,

Uski har baat hai niraali,

Par kya kare yaar wo ladki kisi aur ne patali.

*****************************

Tu yaad kar ya na kar,

Tere na yaad karne ka koi gam nahi,

Tere na yaad karne ki ada,

Tere yaad karne se kam nahi.

*****************************

Huye bhi lagta hai tu paas hai,

Hai taraf tu hi tu aur tera ehasaas hai...

Tera mera pyaar hai sacha isaliye to

Ye rishta itna pyara aur khaas hai.

*****************************

Hoth keh nahi sakte jo afsana dil ka,

Shaayad najar se wo baat ho jaaye,

Is ummeed se karte hai intajaar raat ka ki

Shaayad sapno me mulaakaat ho jaaye.

*****************************

Ishq aisa karo ki dhadakan me bas jaaye,

Saans bhi lo to khushabu usi ki aaye,

Pyaar ka nasha aankhon pe chaaye,

Baat koi bhi ho par naam usi ka aaye.

*****************************

NEHA KE NYARE NYARE SMS - 448

*****************************

Aankhon ke saamne hardam aapko paya hai,

Dil me bhi aapko hi basaya hai,

Aap ke bin ham jiyenge kaise,

Bhala jaan bina bhi koi jee paya hai.

*****************************

Dosti- kaho to ek lafz, maano to bandagi,

Socho to gehra saagar, doobo to jindagi,

Karo to aasaan, nibhaao to mushkil,

Bikhare to saara jamana,

Simte to sirf tum.

*****************************

Dosti ek saahil hai toofan ke liye,

Dosti ek aaina hai auro ke liye,

Dosti ek mehafil hai anjaan ke liye,

Dosti ek khwaahish hai aap jaise dosto ko paane ke liye.

*****************************

Jo aapke mausam se hotho par hasi hai,

Waah dard ki aahat ki hakeekat main khushi hai,

Ek muddat huyi bichade huye tumse lekin,

Teri soorat abhi tak mere dil me basi hai.

*****************************

Poochte hai wo hasrat se kitana chaahte ho tum hame sanam?

Kaha hamne bhi muskuraa ke jara,

Tumhaare liye sahenge saari duniya ke gam,

Na chodna tum saath kabhi, na karna ham pe sitam,

Ulfat ki raah par kadam.

*****************************

NEHA KE NYARE NYARE SMS - 449

*****************************

Apna samajh kar tumhe chaahte rahe,

Bharam se khud ko behlaate rahe,

Na miloge tum phir bhi maanta nahi man,

Mannat tumhe paane ki maangte rahe.

*****************************

Dosti ki galiyo me koi gam na ho,

Hamara ye pyaar kabhi kam na ho,

Bas yehi hai dua tum khush raho,

Kya pata ye SMS bhejne waala "kal ho naa ho".

*****************************

Dil armaano se Houseful hai,

Poore honge ya nahi ye Doubtful hai,

Is duniya me har cheez Wonderful hai,

Par jindagi aap jaise dosto se hi Colourful hai.

*****************************

Dil ki galiyo me dhoondha to sunsaan paya,

Har mod pe dekha to kuch najar na aaya.

*****************************

Dosti agar boori hai to use hone mat do,

Ho gai hai to use khone mat do,

Aur agar dost ho sabse pyara to,

Use sone mat do...jaagte raho.

*****************************

NEHA KE NYARE NYARE SMS - 450

*****************************

Mana ye waqt hame yaad karne ka nahi hai,

Par bewaqt hi yaad kar liya karo,

Mana aapke aas-paas saari duniya hai,

Kabhi hamara bhi ehasaas kar liyaa karo.

*****************************

Uski aankhon me kuch na kuch jaroor tha,

Bin peeye hi main nashe me choor tha,

Uska chehara bhi kamal ka ek phool tha,

Jiski khushaboo se mehka mera naseeb tha.

*****************************

Peete nahi hai phir bhi teri chaahat me

Ham maikhaane jaane lage hai.

Aap hi sochiye kitane pyaare hai,

Aap ko bhagwaan ko chodkar ham aapki kasam khane lage hai.

*****************************

Paas aakar sabhi door chale jaate hai,

Ham akele the akele hi reh jaate hai,

Dil ka dard kise dikhaaye,

Marham lagaane waale hi jakhm de jaate hai.

*****************************

Har baat samajhane ke liye nahi hoti,

Jindagi aksar kuch paane ke liye nahi hoti,

Yaad aksar aati hai aapki par

Har yaad jatane ke liye nahi hoti.

*****************************


Post By: Neha Shah

Comments

Popular posts from this blog

Maula-Maula laakh pukaare - Kalaam by Hazrat Zaheen Shah Taji (R.A.)

????-???? ??? ??????,???? ??? ? ?? ????? ?? ?? ??? ??? ???,???? ??? ? ?? ?? ???? ?? ??? ?? ???? ????,?? ?????? ?? ????-???? ????-????,?????? ?? ?? ??? ????-???? ????-????,?? ?? ??? ? ?? ?? ??????? ?? ?? ?? ??,?? ???? ?? ??? ???? ?? ????? ???? ???? ?? ??????? ???? ???? ??? ? ???? ???? ???? ?? ??? ?? ?? ????? ~ Hazrat Zhaeen Shah Taji (R.A.) Maula-Maula laakh pukaare,Maula haath na aaye Lafzon se hum khel rahe hain,maa'na haath na aaye Jo pani ke naam ko pani jaane,naadaani hai Pani-pani rat'te rat'te,pyaasa hi mr jaaye Shola-shola rat'te-rat'te,lab pe aanch na aaye Ik chingaari lab par rakh lo,lab fauran jal jaaye Ism pe Qaane hone waala aur musamma khone waala Kaam na karne waala moorakh bas naam se ji bahlaye English Translation: Calling out Maula Maula! Maula still escapes us. We only play with words,meaning still escapes us. Who understands the word Water as Water,is a fool, He will keep chanting Water Water and will die of thirst. By ch...

Rumi's "Popular Versions" in Their Original Farsi Scripts

I've been receiving numerous emails requesting the original Farsi or Persian verses of Rumi's very famous and often quoted English "Versions" which are "translated" by the popular Rumi "version makers", particularly the incomparable Coleman Barks who has single-handedly made Maulana Jalaluddin Balkhi Rumi a household name here in our beloved America. In some instances, it's virtually impossible to find Rumi's original Farsi verses, mainly due to non-Persian speaking 'version makers' not providing a reference to the original Rumi verses in their famous  new-agey  translation works. Coleman Barks, the foremost Rumi translator and "version maker", not only openly admits, but also calls his Rumi translations as "versions," or "re-renderings" because he doesn't read Farsi:  �Of course, as I work on these poems, I don�t have the Persian to consult. I literally have nothing to be faithful to, except wha...

Lucan: Opening to his Epic on the Civil War (From Latin)

I have recently finished reading (for the first time in its entirety) Lucan's unfinished epic Bellum Civile " The Civil War." I found it extraordinary. When I had finished, I wanted to translate the entire thing. Though I quickly realized that I hadn't the time or the resources to do so without the task taking several years. So I have selected a few excerpts from the Bellum Civile  that I think read well on their own, and have added these to my translation queue. Starting with this part here from the poem's opening. You can see a list of the planned excerpts on my table of contents (list of translated poems.) Opening to his Epic on the Civil War (1.1-82)  By Lucan Translated by A.Z. Foreman I sing of war far worse than civil war waged in the nasty fields of Thessaly, of crime gone legal, of a powerful state that disemboweled itself with victory's sword, of family front lines 1 ; how when the pact of tyranny imploded, all the forces of a concussed w...