Skip to main content

NEHA KE NYARE NYARE SMS - 381-382-383-384-385-386-387-388-389-390

NEHA KE NYARE NYARE SMS - 381

*****************************

Agar main gulaab tumhe du,

To kya tum bhi mujhe gulaab doge,

Main jaanta tha mera katal tum karoge nahi,

Tadpaaoge magar jinda bhi tum mujhe rehne na doge.

*****************************

Agar dena hi tha to pyaar me dhokha dete jaalim,

Shaadi karke to ham yu hi tabaah ho gaye.

*****************************

Sitam ko hamne berookhi samajha,

Pyaar ko hamne bundgi samajha,

Tum chaahe hame jo bhi samajho,

Hamne to tumhe apni jindagi samajha.

*****************************

Chaand se haseen hai chaandni,

Chaandni se haseen hai raat,

Raat se haseen jindagi aur

Wo jindagi hai aap.

*****************************

Mohabbat ka paigaam kehte hai gulaab ko,

Sabse pehle ham salaam kehate hai aapko,

Sharaab ko kharab mat kehna sanam,

Becheni me aaraam kehte hai sharaab ko.

*****************************

NEHA KE NYARE NYARE SMS - 382

*****************************

Jaha gaye the khushiyo ke taraane,

Mukkadar dekhiye roye wahi par,

Huye mandir se gaayab joote hamaare,

Jaha se paaye the, khoye wahi par.

*****************************

Mushkile dilo ke iraade aajmayenge,

Khwaab ke parde nigaaho se hatayenge,

Girkar hausla mat haarna,

Ye thokare hi tujhko chalna sikhayenge.

*****************************

Dil ka dard kisi ko dikha na sake,

Jo dil me tha wo kisi ko bata na sake,

Kiye the jawaani me ladkiyo par jo kharche,

Unke bill budaape tak chuka na sake.

*****************************

Khushboo jo phoolo me samaai huyi hai,

Ae dil uski saanso se churaayi huyi hai.

*****************************

Chaand taaro se bhari raat bhali lagti hai,

Phool patto ki mulakaat bhali lagti hai,

Jo baat hotho par na aa paaye kabhi,

Wo baat SMS se karni bhali lagti hai.

*****************************

NEHA KE NYARE NYARE SMS - 383

*****************************

Paise se gaadi khareedi ja sakti hai,

Magar samay nahi,

Insaan kharida ja sakta hai magar pyaar nahi,

Isaliye aap apna sara paisa mujhe de do.

*****************************

Teri dosti ne bahut kuch sikha diya,

Meri khaamosh duniya ko jaise hasa diya,

Karjdaar hu main khuda ka jisane,

Mujhe tere jaise dost se mila diya.

*****************************

Dost hi dost ka saath diya karte hai,

Dost hi dost ko gam diya karte hai,

Jindagi me kuch pal aise bhi aate hai,

Jab dost hi dost ko badnaam kiya karte hai.

*****************************

Yu hi to khoobsurat hai dosti ka nata,

Jo bina shart ke jiya jata hai,

Rahe dooriya to parawaah nahi,

Dost to har pal dil me basaya jaata hai.

*****************************

Dhokha mila jab pyaar me,

Jindagi me udaasi chha gai,

Socha tha ki chod denge is raah ko,

Par aaj mohale me doosri aa gai.

*****************************

NEHA KE NYARE NYARE SMS - 384

*****************************

Tum bhula nahi sakoge kabhi mere pyaar ko,

Mere chumbano ko aur mere hotho ki pukaar ko,

Meri ungaliyo ne jo gazal tumhaare badan par likhi thi,

Tum mere deedaar ko.

*****************************

Daali se patte yu hi gira nahi karte,

Bichad ke log jyaada jiya nahi karte,

Kuch naye SMS ho to bhejiye,

Warna purane SMS baar-baar ham pada nahi karte.

*****************************

Thokar na maarna mujhe bekaar samajh kar,

Seene se laga dena mujhe haar samajhakar,

Raahi ko samajhane me kahi bhool na karna,

Hamne tumhe chaha hai samajhdaar samajhakar.

*****************************

Pal pal se banta hai ehasaas,

Ehasaas se banta hai wishwaas,

Wishwaas se bante hai rishte,

Aur rishte se banta hai koi aap jaisa khaas.

*****************************

Jaise taaro ke saath aakaash hai,

Waise hi sacchi dosti ke saath wishwaas hai,

Dil ki najro se dekhoge agar,

Ham har waqt aapke paas hai.

*****************************

NEHA KE NYARE NYARE SMS - 385

*****************************

Hamaari tabaahi me aapka haath hai,

Par hamaari sharaafat dekho ham,

Sabse kehate hai ki ye to kismat ki baat hai.

*****************************

Dil jalo ke dil par khanjar chalane chod do,

Gir padegi bijaliya tum muskurana chod do.

*****************************

Gulaab hai gulaabi, teri aankhe hai sharaabi,

Tere labo par sawaal hai, meri aankhe hai jawaabi,

Likhne me kya harz hai, padne me kya hai kharabi,

Padne wala ho agar yaaro ka yaar,

To mera chehra hai kitaabi.

*****************************

Gamo ka jehar pee rahe hai,

Chand geeto ke sahaare jee rahe hai,

Phoonk apna ghar isaliye diya taaki,

Kuch gharo me roshani hoti rahe.

*****************************

Dil ke sab raaj de raha hu main,

Kuch naya saaj de raha hu main,

SMS to bahana hai,

Tumko aawaaj de raha hu main.

*****************************

NEHA KE NYARE NYARE SMS - 386

*****************************

Kitni parwaah ham karte hai unki,

Kaash unhe bhi ye ehasaas ho jaaye,

Kahi aisa na ho ki wo hosh me aaye,

Aur ham gehari neend me so jaaye.

*****************************

Gulaab ka bagicha hai, magar phool nahi hai,

Aapki bewafaai hame, kubool nahi hai,

Aapne to shaayad mujhko bhula dala,

Magar dosto ko bhula dena mera usool nahi hai.

*****************************

Phoolo ko phool pasand hai,

Dilo ko dil pasand hai,

Shaayro ko shaayri pasand hai,

Kisi ki pasand se hame kya,

Hamko to aapka saath pasand hai.

*****************************

Saagar ka hai paani aur nadiya ki hai dhara,

Bata kis kaaran se tune toda hai dil hamara,

Aaj to wo bhi paas se hokar gujar jaate hai,

Kal tak lagta tha jinko main jaan se bhi pyara.

*****************************

Mujhko naya jamana hairat me daalta hai,

Jiska bhi gala dabaao,

Wo hi aankhen nikaalta hai.

*****************************

NEHA KE NYARE NYARE SMS - 387

*****************************

Dil mera tera bimar aaj bhi hai,

Teree kasam tumse mujhe pyaar aaj bhi hai,

Mana ki tujhe kaid kar diya bedard logo ne,

In pehro ke baawjood tera intjaar aaj bhi hai.

*****************************

Ham hawa ke jhonke hai gujar jaayenge,

Khamoshi se tumhaare dil me utar jaayenge,

Paakar tumhaari dosti ye hua ehasaas,

Tumse bichad kar ham mar jaayenge.

*****************************

Ae dost mujh par itna ehasaan kar de,

Apni dosti mere naam kar de,

Na rahe kisi aur ki jagah is dil me,

Dost hone ki wajah mere dil me bhar de.

*****************************

Khushboo pyaar ki taraf bikhar jaati hai,

Tumhaare muskuraane se hamaari duniya bhi muskurati hai,

Jab bhi dekhte hai SMS tumhara ham apne mobile par,

Khuda kasam saare jamaane ki khushiya hamaare paas chali aati hai.

*****************************

Najar se najar churaoge kab tak,

Dost se dosti chupaaoge kab tak,

Hamaare SMS tumhe lagataar milte rahenge,

In dosti ki nishaniyo ko mitaaoge kab tak.

*****************************

NEHA KE NYARE NYARE SMS - 388

*****************************

Janaza mera nikla,

Duniya dekhane nikli,

Magar wo jaalim nahi nikli,

Jiske kaaran mera janaza nikla.

*****************************

Paani me patthar mat pheko,

Use koi aur bhi pita hai,

Jeena hai to haskar jiyo kyonki,

Tumhe dekhakar koi aur bhi jita hai.

*****************************

Kisi ko mohabbat ki achai ne maar dala,

Kisi ko mohabbat ki gehraai ne maar dala,

Bach na saka is mohabbat se koi,

Jo bach gaya use tanhaai ne maar dala.

*****************************

Phool me khushboo nahi, panghat me paani nahi,

Main to deewana hu tera, tu meri deewaani nahi,

Mere gam ki kahani sunkar, sabhi ne yahi kaha,

Jhoothi hai ye kahaani, teri kahaani sacchi nahi.

*****************************

Jindagi mei to tumhaari ham aa naa sake isaliye

Tumhaare khwabo me chale aate hai,

Tum laakh najare fer lo sanam,

Ham phir bhi chale aate hai.

*****************************

NEHA KE NYARE NYARE SMS - 389

*****************************

Meethe dard ka asar hai sahkar to dekho,

Pyaar katra nahi samundar hai, behkar to dekho,

Tumhaare liye chod denge jamana,

Ek baar dost kehkar to dekho.

*****************************

Koi dikha ke roye, koi chupa ke roye,

Hame roolane waale hame roola ke roye,

Marne ka maja to tab hai,

Jab kaatil bhi janaaze par aa kar roye.

*****************************

Pyaar karte ho hamse,

Ye najar aapki batati hai,

Ham aapke pyaar me rote hai,

Neend aapko bhi kahan aati hai.

*****************************

Manjil ki taraf badte chalo,

Jo dil kahe usi raah ko chuno,

Piche waalo ko aage na jaane do,

Aur jo aage hai unse aage nikalo,

Tabhi aap ek ache truck driver ban sakte ho.

*****************************

Agar tu ek din ke liye khush hona chaahte ho,

To �Date� par chale jao, agar kuch din ke liye khush hona chahte ho,

To kisi se pyaar kar lo, aur agar hamesha ke liye khush rehna chahte ho,

To hamse yu hi rishta banaaye rakhna.

*****************************

NEHA KE NYARE NYARE SMS - 390

*****************************

Parakhna mat parakhne me koi apna nahi rehta,

Kisi bhi aaine me der tak cehra nahi rehta,

Mohabbat ek khushboo hai hamesha saath chalti hai,

Koi insaan tanhaai me bhi tanha nahi rehta.

*****************************

Koshish bahut ki dil ko samajhne ki,

Aankhon ko kasam di so jaane ki,

Bahut samjhaya phir bhi aankhen nahi soyi,

Soyi to jab maine baat ki aapke khwaab me aane ki.

*****************************

Wo kaun hai jinke intajaar me raaho par tikti hai najar,

Wo kaun hai jisne mujhase mujhko kiya hai bekhabar,

Wo kaun hai jo ban jaayegi meri chaahat-e-jigar,

Wo kaun hai jo banegi meri umra bhar ki hamsafar.

*****************************

Jisne dil diya, wo Delhi chali gayi,

Jisne pyaar kiya, wo Italy chali gayi,

Dil ne kaha khudkhushi kar le jaalim,

Bijli ko haath lagaya, to kambakht bijli chali gayi.

*****************************

Kya aankhen hai kya julfe hai kya soorat paayi hai,

Aisa lagta hai jaise peepal ke

Ped se koi bhootni utar aayi hai.

*****************************

Post By: Neha Shah

Comments

Popular posts from this blog

Maula-Maula laakh pukaare - Kalaam by Hazrat Zaheen Shah Taji (R.A.)

????-???? ??? ??????,???? ??? ? ?? ????? ?? ?? ??? ??? ???,???? ??? ? ?? ?? ???? ?? ??? ?? ???? ????,?? ?????? ?? ????-???? ????-????,?????? ?? ?? ??? ????-???? ????-????,?? ?? ??? ? ?? ?? ??????? ?? ?? ?? ??,?? ???? ?? ??? ???? ?? ????? ???? ???? ?? ??????? ???? ???? ??? ? ???? ???? ???? ?? ??? ?? ?? ????? ~ Hazrat Zhaeen Shah Taji (R.A.) Maula-Maula laakh pukaare,Maula haath na aaye Lafzon se hum khel rahe hain,maa'na haath na aaye Jo pani ke naam ko pani jaane,naadaani hai Pani-pani rat'te rat'te,pyaasa hi mr jaaye Shola-shola rat'te-rat'te,lab pe aanch na aaye Ik chingaari lab par rakh lo,lab fauran jal jaaye Ism pe Qaane hone waala aur musamma khone waala Kaam na karne waala moorakh bas naam se ji bahlaye English Translation: Calling out Maula Maula! Maula still escapes us. We only play with words,meaning still escapes us. Who understands the word Water as Water,is a fool, He will keep chanting Water Water and will die of thirst. By ch

Lucan: Opening to his Epic on the Civil War (From Latin)

I have recently finished reading (for the first time in its entirety) Lucan's unfinished epic Bellum Civile " The Civil War." I found it extraordinary. When I had finished, I wanted to translate the entire thing. Though I quickly realized that I hadn't the time or the resources to do so without the task taking several years. So I have selected a few excerpts from the Bellum Civile  that I think read well on their own, and have added these to my translation queue. Starting with this part here from the poem's opening. You can see a list of the planned excerpts on my table of contents (list of translated poems.) Opening to his Epic on the Civil War (1.1-82)  By Lucan Translated by A.Z. Foreman I sing of war far worse than civil war waged in the nasty fields of Thessaly, of crime gone legal, of a powerful state that disemboweled itself with victory's sword, of family front lines 1 ; how when the pact of tyranny imploded, all the forces of a concussed w

Rumi's "Popular Versions" in Their Original Farsi Scripts

I've been receiving numerous emails requesting the original Farsi or Persian verses of Rumi's very famous and often quoted English "Versions" which are "translated" by the popular Rumi "version makers", particularly the incomparable Coleman Barks who has single-handedly made Maulana Jalaluddin Balkhi Rumi a household name here in our beloved America. In some instances, it's virtually impossible to find Rumi's original Farsi verses, mainly due to non-Persian speaking 'version makers' not providing a reference to the original Rumi verses in their famous  new-agey  translation works. Coleman Barks, the foremost Rumi translator and "version maker", not only openly admits, but also calls his Rumi translations as "versions," or "re-renderings" because he doesn't read Farsi:  �Of course, as I work on these poems, I don�t have the Persian to consult. I literally have nothing to be faithful to, except wha