Skip to main content

Posts

Showing posts from August, 2011

Lonely Lady ( A Poem )

Lonely Lady ( A Poem ) T here is a lady that I know who has pushed many away with hurtful comments about them from time to time. When she was very low and blue in her life recently and she needed someone there, those who could have helped her were no longer there. They saw her walk head bowed trying to make conversation to anyone who passed by. Sadly, they could not trust her fearing she would turn on them as she had done many times before. She stands alone now abandoned to be on her own after making many lives a total misery. No one can sympathize with her and no one wants to know. No new chances given, they've done them too many times before. She now looks sad and rejected having throughout her life pushed many away once too often and now she stands alone. Post By: Deepak Punjabi  

Last Night I Slept Like A Baby

Last Night I  Slept  Like A Baby     Last Night I Slept Like A Baby, Nestled Snugly In My Saviors Arms Peaceful, Unbothered By Cares Of The World, Knowing He 'd Keep Me Safe From All Harm, The Woes Of The Day I'd Left In His Hands, As I Knelt Before Him In Prayer I'm Learning Daily He'll Take Them From Me If I Let Go And Leave Them There, .He's Faithful And Truthful All Of Time,

Umar Bhar Tanahi (Urdu Poetry Card)

Umar Bhar Tanhai (Urdu Poetry Card)

Yad Aon Ge (Animated Urdu Poetry Card)

Yad Aon Ge (Animated Urdu Poetry Card) Post By: Saba Bibi

Bhol Gaye Afsane Kitne -Bikhre Khuwab Suhane Kitne

Bhol Gaye Afsane Kitne -Bikhre Khuwab Suhane Kitne Do Ankhen Hain Sagar Teri-Un Mein Hain MeKhane Kitne Saqi Ne Jab Aankh Milae-Toot Gaye Pemane Kitne Shama To Ik Raat Jali Thi-Jal Gaye The Parwane Kitne Apno Ki Tum Baat Na Chero-Apne Hain Begane Kitne Jangal Jangal Ronaq Dekhi-Shehron Mein Weran E Kitne Mujh Ko Mujh Se Chen K Tora-Ab Bantay Ho Anjane Kitne

Jab Log Juda Ho Jatay Hain

Jab Log Juda Ho Jatay Hain Sab Ehad Wafa Ho Jatay Hain Jab NIyat Main Fatoor sa HO Sab Amal GUnah Ho Jatay HAin Jab Tere Baray Main Sochtay Hain Sab Lafaz Dua Ho Jatay Hain Jab Ghurbat Dar Pay Dastak De Sab Yaar Khafa Ho Jatay Hain Jab Waqt Dikhata Hay Aankhen Sultan Gada Ho Jatay Hain Tu Jab Bhi Mere Sath Na Ho Tehwar Saza HO Jatay Hain Jab Nafrat Lafzon Main Utray Tab Apne Juda Ho JAtay Hain Ye Duniya Hay Ae Mere Dost Yahan Insan Khuda Ho Jatay HAin

Dil BEhal Jaye To Chor Detay Hain Log

Dil BEhal Jaye To Chor Detay Hain Log KOi Aur Mil Jaye TO Chor Detay Hain Log Chaar Din KI Chandni Ki Qadar Karna Dosto Chandni Dhal Jaye To Chor Detay Hain Log Qasmain To Khatay Hain Log Sada Saath Jeene Ki Zehan Badal Jaye To Chor Detay Hain Log Din Badal Jayen To Jazbat Badal Jatay Hain Halat Badal Jaye To Chor Detay Hain Log Log Mohabbat Karte Hain Matlab K Liye Matlab Nikal Jaye To Chor Detay Hain Log

Ye thora sa jivan adhura sa mausam

Ye Thora Sa Jevaan Adhura sa Mausam YE Rangon Ki chahat, Ghulabon Ki Hasrat YE Roshan Sawere, Ye Madham Andhere Kisi Roz Taha Milo To BAtayen Khaalon Ki Rahen, Chamakti Nigahen Wafayen Nibhana, Adayen Dikhana Ye Ek Silsala Hay, Magar Fasla Hay Agar Jaan Jao To Ehsah Rakhna, Esay Raaz Rakhna Karo Aik Waada, Banao Irada Mulaqat Karlo, Wohi Baat Karlo Kisi Roz Tanha MIlo To Batayen Hamaro Muhabbat Tumhari Wafayen

Azan-e-Husan deti hay tere rukhsar ki masjid

Bikta hay husan bhi zikar misar k bazar ka karlon Ya Tazkara Anaar kali Saleem k darbar ka kar lon Din es qadar tohamaten Mujay Aalam-e-Ishq ne Sochta hon rukh apna bhi Saf-e-Aghyar ko kar lon Kehta hay ghalib ishq bhi aik kaam hota hay Chalo phir fikar darvesh, apne rozgaar ka kar lon Gunah-eIshq sunta hon main, Sadiyon se jari hay Main jata hon k aik tawaaf pane dildar ka kar lon Azan-e-Husan deti hay tere rukhsar ki masjid Ijazat ho darvesh, HOnton se aik sajda payar ka karlon

Chalo Phir shart lag jay Main sabit aaj kar dongi

Chalo Phir shart lag jay Main sabit aaj kar dongi K tum ne Dil lagi ki hay Mohabbat naam ki ki hay Sun kar uski Baton ko Main bola saada dil larki Agar main dil lagi karta To jeene se na youn darta Mohabbat nam ki karta Wafayen aam si karta Magar phir bhi Teri taskeen ki khatir ye kehta hon Haan! Main ne dil lagi ki thi Tujay apna he samjha tha Tuj se dil lagaya tha Jahan na koi gham pohanchay wahan tuuj ko chupaya tha Magar jaana�n yaqeen jaano Tumhare hosle ki daad deta hon K kitni Be rukhi se tu ne keh dala Chalo Phir shart lag jaye K tum ne Dil lagi ki hay

Chalo Khawab Aankhon Main SAja Kar Dekhttay Hain

Chalo Khawab Aankhon Main SAja Kar Dekhttay Hain Ham hi Kisi Ko Apna Bana Kar Dekhtay Hain Khoon K Rishton Se To Aetbar Uth Gaya Chalo Benaam Rishtay Bana Kar Dekhtay Hain Zindgi Aasan ho jaye Shayad Hamari Chalo Hath KI Lakiren Mita KAr Dekhtay Hain Andheri Shab To Kisi Surat KAt�ti Nahi Chalo GHar APna Jala Kar Dekhtay Hain HAmen MAloom Hay K Usne Hamara Hona NAhi Chalo Us Per Ye Zindgi Luta Kar Dekhtay Hain

Tumhen jab rubaru dekha karengay

Mosin Naqvi Tumhen jab rubaru dekha karengay Ye socha hay buhat socha karengay Nazar main chodvin ka chaand hoga samandar ki zuban bola karengay Tumhara aks jab utray ga dil main Badan main aainay tuta karen gay Bicharna hay to ye tay kar lein ab se Judai ka safar Tanha karen gay Na aae ga koi ilzam tum per Ham apne aap ko Ruswa karen gay Es uljhan mein kati hayumer Mohsin k pal do pal main ham kaya kaya karen gay

Main akser usay kehat hon,

Main akser usay kehat hon, Tum shor buhat Machati ho Phir wo mujse kehti hay Jab kalai meri tum pakro gay Choori to meri khankay gi Choori ka shor to hota hay jab payar se mujay bulao gay Tab Daur k main aaoungi phir payal meri khanke gi payal ka shor to hota hay jab bindiya meri chamke gi Ye aankh mein teri dhamke gi Jazbay phir shor machayen gay Jazbon ka shor to hota hay Zulf meri suljhatay hoe Jab ghajre ko bikhrao gi Tab saansen meri mehken gi Saanson ka shor to hota hay

ane kiun wo sanson ki daur tutne nahi deta

jane kiun wo sanson ki daur tutne nahi deta Bas qadam aur chalne ka wasta dekar mujay rukne nahi deta Baat kehta hay wo hans hans kar ji lene ki Ajeeb shaks hay mujay chain se ronay nahi deta Aaj hosla deta hay ujay chaand sitaron ko choo lene ka Woh payara sa chehra mujay toot k bikhrne nahi deta Shayad janta hay wo bhi in aankhon main Aansson ka sailab hay Janay kiun phir bhi wo in Aansoon ko girne nahi deta Mujse kehta hay main to mar jaonga tumhare bina Main Zinda hon ab tak mujay wo marne nahi deta

Gham e Zindgi teri raah mein

Gham e Zindgi teri raah mein Shabe Aarzo teri chah mein JO ujar gaya wo basa nahi jo bichar gaya wo mila nahi jo Dil o Nazar ka saroor tha Mere paas reh k bhi door tha wohi ek ghulaab umeed ka Meri Shaakh e Jan pe khila nahi Mera hamsafar jo ajeeb hay To mein bhi hon Ajeeb tar Use Manzilon ki khabar nahi Mujay Raston ka pata nahi Pas e Karwaan , Sar e Rehguzar Mein hara hon to es liye K qadam to sab se mila liye Mera dil kisi se mila nahi

Koi Hamsafar Nahi Koi Razdar Bhi Nahi Hay

Koi Hamsafar Nahi Koi Razdar Bhi Nahi Hay Faqat Aik Dil Tha Apna So Wo Bhi MEharban Nahi Hay Kis Aankh ko Sada Don Kis Zulf Ko Pukaron Bari Dhoop Par RAhi Hay Koi Sayiban Nahi HAy Mere Dard Ki Haqiqat Mere Aansoon Se POcho Mera Majlasi Tabasum Mera Tarjumaan Nahi Hay Inhi Pathron Pay Chal K Aa Satay Ho To Aao Mere GHar K Raste Main Koi Kehkashan Nahi Hay

Umer Ki sari Thakan Laad K Ghar Jata Hon

Umer Ki sari Thakan Laad K Ghar Jata Hon Raat Bister Pay Sota Nahi MAr Jata Hon Akser Okaat Bhare Sheher K Sanatay Main Es Qadar Zor Se Hansta Hon K Dar Jata Hon Mere Aanay Ki Khabar Sirf Diya Rakhta Hay Main Hawaon Ki Tarah Aa K GUzar Jata Hon Dil Theher Jata Hay Bhooli Hoi Manzil Main Kahin Main Kisi Dusre Raste Se Guzar Jata Hon Simta Rehta HOn Buhat Halqa Ahbab Main Main Char Dewari Main Aatay HE BIkhar Jata Hon Main Ne Apne Khilaaf Khud He Gawahi Di Hay Gar Tere Haq Main Nahi HAy To Mukar Jata Hon

Shab e Hijraan Ki Aziyat Ki Khabar Kisko Hay

Shab e Hijraan Ki Aziyat Ki Khabar Kisko Hay Meri GUmnaam Muhabbat Ki Khabar Kisko Hay Ksiko Ehsas Mere Shidat-e-Jazbat Ka Hay Meri Halat Meri Wehshat ki Khabar Kisko Hay? Kon Weraan Makanon Ki Khabar Rakhta Hay Meri Ujri Hoi Qismat KI Khbar Kisko Hay Main Ne chup Chaap Mohabbat K Sitam Jheelay Hain Meri Es Darja Sharafat KI Khabar Kisko Hay Kon Aae Ga Dil Ab Tujko Tasali Denay Teri Udaas Tabiat KI Khabr Kisko Hay

Allama Iqbal

(Payam-e-Mashriq-017) Zindagi

(Payam-e-Mashriq-018) Mahwara-e-Ilm-o-Ishq

(Payam-e-Mashriq-019) Surood-e-Anjum

(Payam-e-Mashriq-020) Naseem-e-Subah

(Payam-e-Mashriq-021) Pind Baz Baecha Khawesh

(Payam-e-Mashriq-022) Kirm-e-Kitabi

(Payam-e-Mashriq-023) Kibr-o-Naaz