Click On Image For Large Size View Tapte dil par yun girti hai Teri nazar se pyaar ki shabnam Jalte hoye jangal per jaise Barkha barse, ruk ruk tham tham Jahan jahan teri nazroo ki aos tapki hai Waha waha se abhi tak ghubaar uthta hai Jaha jaha tere jalwoon ke phool bikhre the Waha waha dil e wahshi pukar uth ta hai Wajah e berangi e gulzaar kahoon to kya ho Kaon hai kitna gunahgaar kahoon to kya ho Tum ne jo baat sare bazm na sun na chahi Main wahi baat sare daar kahoon to kya ho Na munh chupa ke jiye hum na sar jhuka ke jiye Sitamgaroon ki nazar se nazar mila k jiye Ab ek raat agar kam jiye to kam hi sahi Yahi bahot hai ki hum mashaalyen jala ke jiyee Sahir ludhiyanavi (shabanam: oos,dewdrops; gubaar:gard,dust; wahshi: pagal; be rangi,no colour; gulzaar,baag garden; sare bazm: mahfil mein ; sare dar: pahnsi per)