Skip to main content

Posts

Showing posts from June, 2009

Yaar ko humne ja ba ja dekha - Kalaam Hazrat Shah Niaz R.A.

Yaar ko hamne ja ba ja dekha, Kahin zaahir kahin chhupa dekha. Nukta-e-imaan se waaqif ho, Chehra-e-yaar ja ba ja dekha. Kahin mumkin hua kahin waajib, Kahin faani kahin baqa dekha. Deed apne ki thi use khwahish, Aap ko har tarah bana dekha. Dekhta aap hai sune hai aap, Na koi uska ma siwa dekha. Soorat-e-gul mein khilkhila ke hansa, Shakl-e-bulbul mein chahchaha dekha. Shama ho kar ke aur parwana, Aap ko aap mein jala dekha. Kar ke daawa kahin anal haq ka, Bar sare daar wo khincha dekha. Tha woh bartar shuma-o-ma se 'Niyaz', Phir wohi ab shuma-o-ma dekha. Kahin begaanavash nazar aaya, Kahin surat se aashna dekha. Kahin hai badshah-e-takht nashin, Kahin kaasa liye gada dekha. Kahin aabid banaa kahin zahid, Kahin rindon ka peshwa dekha. Kahin woh dar libaas-e-mashooqaan, Bar sare naaz aur ada dekha, Kahin aashiq 'Niyaz' ki soorat, Seena biryaan-o-dil jala dekha. English Translation: I saw my beloved in all I saw, At times revealed, hidden at times. Been familiar with ...

Khuda hi ka jalwa nihaan dekhta hoon - Kalaam Hazrat Shah Niaz (R.A.)

Na tan dekhta hoon na jaan dekhta hoon, Tujhi ko nihaan aur ayaan dekhta hoon. Jidhar dekhta hoon jahaan dekhta hoon, Khuda hi ka jalwa miyaan dekhta hoon. Hai jo kuchh ki paida sab ayn haq hai, Ki ek bahr-e-hasti rawaan dekhta hoon. Agar koi jaan-e-jahaan gair-e-haq hai, So maen us ko wahm-o-gumaan dekhta hoon. English translation: I see neither my body nor my soul, I see only you as my inward being and outward being. Wheresoever I look and whatsoever I see, I see only the vision of God. That which come into being is nothing but the real in itself, I see only one current of existence running everywhere. If any worldly object is dear other than the real, I regard it as imaginary and illusory.

Meri nazron men tu ho - Hazrat Shaikh Muhamad Alim Aasi

Meri nazron men tu ho aur teri mohabbat ho, Na duniya ho na uqba ho na dozakh ho na jannat ho, Siwa tere na maail ho kisi par wo tabiyat ho, Teri ulfat ho tera ishq ho teri muhabbat ho. - Hazrat Shaikh Muhamad Alim Aasi English Translation: (O god !), may your vision alone be my goal,may I feel awe for you and may I blessed with your love, May I be indifferent to this world,the next world,the Hell and the Paradise. Grant me that heart which is not attached to anything else than you, May I be blessed with attachment to you,affection for you and passionate love for you. * Shaikh Muhammad Alim Aasi (d. A.D.1915)of Ghazipur was a celebrated Sufi Saint and poet.